Khamoshi ko sunkar dekho,
iski bhi jubaan hoti hai,
lamha lamha tanha-si,
jaane kab kahaan hoti hai,
khamoshi ko sunkar dekho,iski bhi jubaan hoti hai,
khamoshi ke aangan mein,
tanhaiyaan jawaan hoti hai,
tanhaiyon ke saaye mein,
saari khushiyaan fannaa hoti hai,
khamoshi ko sunkar dekho,iski bhi jubaan hoti hai,
khamoshi lagti sapne si,
aati hai aur jaati hai,
per rahti hai jab tak ye,
apne aap se milati hai,
khamoshi ko sunkar dekho,iski bhi jubaan hoti hai,
khamoshi mein doob ke dekho,
apne aap se mil paoge,
bheed se juda hokar,
her hakkikat ko jhutlaoge,
khamoshi ko sunkar dekho,iski bhi jubaan hoti hai,
lamha lamha tanha si jaane kab kahaan hoti hai,...............
Written By : Anjali Sharma