Saturday, September 12, 2009

Zakhmi Dil

Saaye Ki Tarah Rehnewale
Humse Naata Tod Gaye
Haqeeqat Mein Milna Namumkin Tha
Khwabon Mein Bhi Aana Chhod Gaye

------------------------------------------------------

Woh Paani Ki Boond Hain
Jo Aankhon Se Beh Gaye
Aansoo Toh Woh Hain
Jo Tadap Kar Aankhon Mein Hi Reh Gaye

------------------------------------------------------

Aap Gairon Ki Baat Karte Hain
Humne Apno Ko Aazmaya Hain
Aap Kaanton Ki Baat Karte Hain
Humne Phoolon Se Zakhm Khaya Hain

-----------------------------------------------------

Har Baat Zubaan keh Paati Agar
Aankhon Ke Isharein Kyun Hote ?
Samajhte Agar Isharein Humare Tum
Palkon Pe Yeh Aansoo Kyun Hote ?

-----------------------------------------------------

Dil Se Khelne Ka Hunar Nahin Hain Hum Mein
Isliye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye
Meri Zindagi Se Shayad Unhe Pyaar Tha Bahut
Isliye Hume Zinda Hi Maar Gaye

----------------------------------------------------
Mat Roko Is Behte Dard Ko
Saza Hain Yeh Kisike Intezar Ki
Kehlo Inhein Ashq Ya Deewangi
Yeh Toh Nishani Hain Kisike Pyaar Ki

----------------------------------------------------

Tum Milo Ya Na Milo
Milne Ka Gham Nahin
Tum Paas Se Nikal Jao
Toh Milne Se Kam Nahin
Maana K Tumhein Qadar Nahin Hain Hamari
Par Unse Puchho Jise Hum Haasil Nahin

-----------------------------------------------------

Yaad Karte Hain Jab Unhein
Yaadon Se dil Bhar Aata Hain
Kabhi Saath Jiya Karte The Hum
Aaj Milne Ko Dil Taras Jaata Hain

-----------------------------------------------------

Is Qadar Na Har Baat Yaaron Se Puchho
Jo Baat Hain Raaz Ki Woh Isharon Se Puchho
Lehron Se Khelna Toh Shaukh Hain Samunder Ka
Chot Lagti Hain Kaisi Yeh Kinaaron Se Puchho


Written By : Simanta Roy(SIM)

Kambakhht Mohabbat

Masoom mohabbat ka
bas itna sa fasana hain,
masoom mohabbat ka
bas itna sa fasana hain,
gf ka ghar khali hain aur
mujhe office jaana hain


Written By : Simanta Roy (SIM)