Thursday, November 26, 2009

######## khamoshi ########


Khamoshi ko sunkar dekho,
iski bhi jubaan hoti hai,
lamha lamha tanha-si,
jaane kab kahaan hoti hai,

khamoshi ko sunkar dekho,iski bhi jubaan hoti hai,

khamoshi ke aangan mein,
tanhaiyaan jawaan hoti hai,
tanhaiyon ke saaye mein,
saari khushiyaan fannaa hoti hai,

khamoshi ko sunkar dekho,iski bhi jubaan hoti hai,

khamoshi lagti sapne si,
aati hai aur jaati hai,
per rahti hai jab tak ye,
apne aap se milati hai,

khamoshi ko sunkar dekho,iski bhi jubaan hoti hai,

khamoshi mein doob ke dekho,
apne aap se mil paoge,
bheed se juda hokar,
her hakkikat ko jhutlaoge,


khamoshi ko sunkar dekho,iski bhi jubaan hoti hai,

lamha lamha tanha si jaane kab kahaan hoti hai,...............

Written By : Anjali Sharma

Tum Kaha-Main kaha


Nishwa Kya Ho Mujhe
Kitna Bedardi se
Udasin ye Dil firvi
Dhunda hay sirf tumhein.
Janta Nahi hoon kaha pe ho tum
Hay Kitna Duriya
Mera Kavita ka Har Panna
Ud Ud ke Jayega unha.
Kitna Aarmano Se banaya Tha Jo Paper Boat
Chod Dea Aj Usko dard Ki Sagar mein
Dub Gaya Wo Nau Sayed
Gum ki Lahero Mein.
firvi Dilo Mein hay Chahate
Yad Karunga Dubara
Chahe Hay Aj Kitna Fasla
Aj Tum Kaha Main kaha.....



Written By: Subhrajoti Roy