Sunday, November 15, 2009

******** Hai Zara Sa Safar *****




Hai Zara Sa Safar,
Guzar Jai Ga Ye Bhi
Dhoop Ki Tapish Mein
Saya Bhi Mil Jai Ga
Badal Jo Roya Aaj Buhat
Kaal Wohi Muskare Ga
Ye Kisa Hawa Ka Choor
Pathar Dilo Ko Toora
Zindagi Ke Hazar Rasto mein
Meri manzil ko rasta mila
Akhari Khwahish jo the meri
Us ko sahil ka kinara mila


Written By Sana Ahmad

Titliyan Hawaon Mein Ud Rahe Hai






Titliyan Hawaon Mein Ud Rahe Hai
Apne Apne Ghar Ko Laut Rahe Hai

Baadal Chhaanaa Hai Charo Taraf
Baa-Mushqil Raste Talash Karna Hai

Tanha Hain Sab, Mele Ki Bhiid Mein
Aur Manzil ki Aahato se bekhabar hai

Rasta Chahe kitna Bhi Taveel Ho
Khoshish Hai Un ki, Manzil ko Pana Hai

Jaana Hai Jaana Hain, Apne Ghar Ko
Badalo se ladkar apne manzil ko pana hai

Andhi ho, toofan ho, ya ambar ka selab ho
Rahna hai tayar, apne ghar ko jaana hai



Written By Sana Ahmad