Saturday, November 28, 2009

##### EK CHOTA SA SAPNA #####


Ek Chota Sa Sapna,

Roz Ata hay Rat Main,

Najane kyun Pukarta hay Mujhe,

Kuch Karne Ke Lea.

Sapna Mein Ata Kuch Chaera,

Mangta Hay Sirf Khana-Kapra,

Sayed Is Aarman Se,

Hum Milke banayenge Ek Naya Jahan.

Sapne Mein hay Ek Aysa Desh,

Jaha Sabko Milta Khana-kapra,

Koy nahi Raheta Bhukha-Nanga,

Har Ghar Mein Jalta Siksha Ki Diya.

Sapna Mein hay Ek Aysa jahan,

Na Hay Koi Jhadra unha,

Sabko Milta Khushiya Sara,

Sabko lagta Bahut hi Aapna.

Dilo mein hay Sau Chahate,

Firvi mailta Nahi chain Mujhe,

Na jane Kab pura Hoga,

Mera Sapna Ki Ye Dasta.... 

Written by : Subhrajoti Roy

@@ Ek Adhura Love Story @@

Ek aise ladke ki kahani hain yeh 
Pyar karta hain ek ladki se 
Lekin bol nahin paya yeh baat 
Shayad na bhi kahein, 

Bas dekhta hi jaye us ladki ka chehra 
Aur soche kitne hi ankahee baatein 
Aur kehne ke liye yeh baat intezar kare har waqt 
Kat jaye kitne din, kitne mahine-saal 

Ek nayi umang liye woh aaye har din 
Lekin jama hote hain kitne dard har din 
Nakaami ne kar diya uska jeena duswar 

Phir bhi woh rehta hain chehre pe hansi liye 
Sehta hain saare dard 
Lungs mein nicotine 
Jama Hote hain har roz 
Has kar aage badhe woh maut ke dware 

Koi usse jaante ho?? 
Woh aaj bhi khada hain 
Lekar kitni ashayein 
Kab uska pyar 
Usse lega kheench apni or 
Ya kho jayega kahin door??

Written By : Subhrajoti Roy

Thursday, November 26, 2009

######## khamoshi ########


Khamoshi ko sunkar dekho,
iski bhi jubaan hoti hai,
lamha lamha tanha-si,
jaane kab kahaan hoti hai,

khamoshi ko sunkar dekho,iski bhi jubaan hoti hai,

khamoshi ke aangan mein,
tanhaiyaan jawaan hoti hai,
tanhaiyon ke saaye mein,
saari khushiyaan fannaa hoti hai,

khamoshi ko sunkar dekho,iski bhi jubaan hoti hai,

khamoshi lagti sapne si,
aati hai aur jaati hai,
per rahti hai jab tak ye,
apne aap se milati hai,

khamoshi ko sunkar dekho,iski bhi jubaan hoti hai,

khamoshi mein doob ke dekho,
apne aap se mil paoge,
bheed se juda hokar,
her hakkikat ko jhutlaoge,


khamoshi ko sunkar dekho,iski bhi jubaan hoti hai,

lamha lamha tanha si jaane kab kahaan hoti hai,...............

Written By : Anjali Sharma

Tum Kaha-Main kaha


Nishwa Kya Ho Mujhe
Kitna Bedardi se
Udasin ye Dil firvi
Dhunda hay sirf tumhein.
Janta Nahi hoon kaha pe ho tum
Hay Kitna Duriya
Mera Kavita ka Har Panna
Ud Ud ke Jayega unha.
Kitna Aarmano Se banaya Tha Jo Paper Boat
Chod Dea Aj Usko dard Ki Sagar mein
Dub Gaya Wo Nau Sayed
Gum ki Lahero Mein.
firvi Dilo Mein hay Chahate
Yad Karunga Dubara
Chahe Hay Aj Kitna Fasla
Aj Tum Kaha Main kaha.....



Written By: Subhrajoti Roy

Saturday, November 21, 2009

***** Na Main Heer, Na Tu Hai Raanjha *****





Na Main Heer, Na Tu Hai Raanjha 
Pyar Me Dard Magar Hai Sehna

Mile Jo Ranjha Ban Kar Mujhe Tum
Husn Mera, Ho Gaya Kaatil Tera


Pyar Se, Bahut Chaao Se Tum Kehte
Meri Heer Tu Meri Raato Ka Taara Hai
 
Koyal Jaisi Meethi Hai Aawaaz Teri

Kaano Me Ghol Di ho Jaise Misri Ki Dali
 

Meri Zulfo Ko Chhu Jaate Tere Lab 
Bhar Ke Aankho Me Ajeeb Si Shararat 

Chal Pade Hum Anjaan Safar Par
Kabhi Socha Na Anjaam Humne
 

Mohabbat Se Laga Jo Dar Thaa 
Khabar Hui Mujhe Aur Zamaane Ko

Piya Maine Zeher Ka Pyaala Pyaar Me
Mehndi Ka Rang Hua Laal Khoon Se
Siya Tune Zakhmo Ko Kaanto Se

Machal Uthi, Tadap Uthi Dharti Fir Se
Heer Raanjha Ki Daastaan Se
 
Written By Sana Ahmad



@@@ LAHOO KE RANG LAL @@@



Dost,aur kitna sahoge dard?
Aur kitna bahaoge khoon?
Aur kitna doge balidaan?

Dost,aur kitna dekhoge ansoo?
Aur kitna Khali hoga maaon ki kok?
Aur kitna Jharega naya jeevan?

Ab ghadi aa gayi mudke khade honeka ,
Ab ghadi hain Kuchh karke dikhaneka,
Yeh ghadi hain jawab deneka.

Doston hum nahin hain akele,
Saath hain hazaaron shaheedon ki khoon,
Kitne dard, kitna aahate, sau sau zakhm.

Dost ghadi aa gayi eksaath ladneka,
Khoon ke pyaase bheriyon ko maar ke bhagane ka,
Ek naya duniya basane ka.

Saathi Mare Aaj khade ho jao,
Ek Saath chalo,
Aaj Ek Saath Gaao 

Sathi Mare, lahoo ka Rang Lal,
Bhor ka Suraj bhi Lal,
Hamare Jhande ka Rang bhi Lal
Lal Jhande ke niche khade ho kar aaj lo Ek Shapath,
Hum log hi Banayenge Aaj Ek naya Bharat.

Written By: Subhrajoti Roy(With the Help of Simanta Roy)

Tuesday, November 17, 2009

@@@ PAPER BOAT @@@


AS a Child I Made a Paper Boat 
And Set It Sail in a Little Stream 
The Stream Marged into The River 
the river Marged into the Ocean 
Oh Boatman ! Have You Seen My Paper boat?? 

Is The Paper Boat Still Sailing? 
The Blue Paper Boat 
Shailing To The Tune Of the Waves 
Carrying The Passion Of The Ocean 
And Carring The Maseage For you 
On a Burnt out Afternoon 
In a red, Shiny Ocean 
Carring All Ma Dreams 
Oh Boatman ! Have U seen My Paper Boat?? 
Is it Still Sailing? 


Written by : Subhrajoti Roy

@@@ Anjan Raho Pe @@@


Zindagi Behta hua nadia jaisi 
guzra hua yaade woh door para hai 
asimit vastab dekhata hai raho 
jis raho pe tum hum chal raha hai sab...... 
lakshya ka hasil karne ki ek hi upaai 
let's turn around in the unknown road of dream.... 

choti si swapne ko lekar nama hoon raho pe 
par aj wo swapna tutgaya bin waja 
tut gaya nind......har dikh khamosh... 
Today I only try to Identify Human Being................ 

Written By : Subhrajoti Roy
 

Sunday, November 15, 2009

******** Hai Zara Sa Safar *****




Hai Zara Sa Safar,
Guzar Jai Ga Ye Bhi
Dhoop Ki Tapish Mein
Saya Bhi Mil Jai Ga
Badal Jo Roya Aaj Buhat
Kaal Wohi Muskare Ga
Ye Kisa Hawa Ka Choor
Pathar Dilo Ko Toora
Zindagi Ke Hazar Rasto mein
Meri manzil ko rasta mila
Akhari Khwahish jo the meri
Us ko sahil ka kinara mila


Written By Sana Ahmad

Titliyan Hawaon Mein Ud Rahe Hai






Titliyan Hawaon Mein Ud Rahe Hai
Apne Apne Ghar Ko Laut Rahe Hai

Baadal Chhaanaa Hai Charo Taraf
Baa-Mushqil Raste Talash Karna Hai

Tanha Hain Sab, Mele Ki Bhiid Mein
Aur Manzil ki Aahato se bekhabar hai

Rasta Chahe kitna Bhi Taveel Ho
Khoshish Hai Un ki, Manzil ko Pana Hai

Jaana Hai Jaana Hain, Apne Ghar Ko
Badalo se ladkar apne manzil ko pana hai

Andhi ho, toofan ho, ya ambar ka selab ho
Rahna hai tayar, apne ghar ko jaana hai



Written By Sana Ahmad

Saturday, November 14, 2009

MUSKAN

Iss badi si duniya mein har shakhs ko choti si Ek Talaash hoti hai..
Kisi ko dost ki.. kisi ko pyaar ki.. kisi ko chahat ki .. aur kisi ko APNO ki ...
Bass ek Apna joh sirf Apna ho ..shayad aur kuch bhi nahii!!



Yeh duniya hai bahut badi..
tum kaha me kaha pata nahi
Ek talash me nikli hoon
miloge tum ya nahi..

Yahan ho tum wahan ho tum
kidhar ho tum pata nahi
Dur se dekha to pass the tum
Pass aayi toh Dur huye tum..

Dil doondta hai tumhe yahin kahin
bata toh doh miloge tum ya nahi
Ek talash main hoon aaj bhi
Mil sako toh mil jana kabhi yahin !!

Written By : Muskan ........Muskan-e-dil which is alwayz actual Muskan

KHUSHI



Ajab Haal Hai Mere Dil Ki KHUSHI Ka,
Hua Hai Karam Mujh Pe Jab Se Kisi Ka.....

Mohabbat Meri Yeh Dua Mangati Hai,
Tere Saath Taye Ho Safar Zindagi Ka....

Na Do Mujh Ko Paighamein Tark-e-talluq,
Kuchh Ehsaas Karlo Meri Bebasi Ka...

Mera Dil Na Todo Zara Itna Socho,
Munaseeb Nahi Todna Dil Kisi Ka....

Tumhe Ab Taras Mujh Pe Aaya To Kya Hai,
Bharosa Nahi Ab Koi Zindagi Ka.....

Abhi Aap Waqif Nahi DOSTI Se,
Na Izhaar Farmaaye DOSTI Ka....

Na Aana KHUSHI Unki Baaton Main Harghiz,
Nahi Hai Jahaan Main Bharosa Kisi Ka....

Ajab Haal Hai Mere Dil Ki KHUSHI Ka,
Hua Hai Karam Mujhe Pe Jasb Se Kisi Ka.......

Written By : Khushi Shah

Jab nhi padega mera kadam is Dharti mein..



Jab nhi padega mera kadam is Dharti mein..
tab kaun yad rakhoge?
kon Mujhe pukaroge?
Tut jayega sab nata...
tutega sab rista
bhul jaoge sab kon tha main
kaha se aya tha main
tab ruk jayega ye ansoo
mit jayega ye Bachaini
bas rahe jayega kuch gujre waqt ke yaden
firvi yad nhi aunga kabhi kisi ke ankho mein banke Sapne
jab nhi Padega mera kadam is dharti mein
tab kaun Yad rakhoge mujhe?

Written By : Subhrajoti Roy