Friday, September 18, 2009

Koi deewana kahta hai

koi deewana kahta hai
koi pagal samjhta hai
magar dharti ki baicheni ko bus badal samjhta hai,
main tujhse door kaisa hoon
tu mujhse door kaisi hai,
ye mera dil samjhta hai ya tera dil samjhta hai,
koi deewana kahta hai koi pagal samjhta hai..........

mohhabat ek ehsaaso ki pawan si kahani hai
kabhi kabeera deewana tha
kabhi meera deewani hai,
yahaan sab log kahte hain meri aankhon mein aansoo hai
jo tu samjhe to moti hai,jo na samjhe to paani hai,
koi deewana kahta hai koi pagal samjhta hai.............


bhrmar koi kumudini per machal baitha to hungama,
hamare dil mein koi khwaab pal baitha to hungama
abhi tak doob ke sunte the sab kissa mohhabat ka,
main kisse ko haqeekat mein badal baitha to hungama,

koi deewana kahta hai koi pagal samjhta hai......


Written By : Anjali Sharma