Wednesday, September 9, 2009

Tum Kaysi Dikhti Hogi.....

Jab bhi main uthaata aapni kalam
To yaad aati hai tumhari sanam
Dhundhta hun tumhain kapiyon-kitabon me
Par milti ho sirf mere sawalon me

Surat tumhari kaysi hogi?
Sapno ki hakikat ya Chanda ki murat hogi?
Badan tumhara kaysa hoga?
Sone sa sunhara ya dudh sa gora hoga?

Aankhen tumhari kaysi hogi?
Sagar se nili ya Kajal se kaali hogi?
Mushkan tumhare kayse honge?
Sitaron se jhilmilate ya Phulon se khilkhilate honge?

Jab bhi main uthaata aapni kalam
To yaad aati hai tumhari sanam
Dhundhta hun tumhain kapiyon-kitabon me
Par milti ho sirf mere sawalon me

Chaal tumari kaysi hogi?
Badal si umadti ya Bijli si kondhti hogi?
Baal tumhare kayse honge?
Lahron se lahrate ya Pedon se balkhate honge?

Baate tumhari kaysi hogi?
Koyal si mithi ya Jhingur si gunjati hogi?
Bali tumhari kayshi hogi?
Barish ki bundo si rimjhimati ya Dipak ki low si timtimati hogi?

Kya tum mere sawalon me ho?
Kya tum mere khayalon me ho?
Yaaden tumhari tadpati hai samam
Kya tum mere jababon me ho?
 
 
 
Written By : Ankit Jha