Ek aise ladke ki kahani hain yeh
Pyar karta hain ek ladki se
Lekin bol nahin paya yeh baat
Shayad na bhi kahein,
Bas dekhta hi jaye us ladki ka chehra
Aur soche kitne hi ankahee baatein
Aur kehne ke liye yeh baat intezar kare har waqt
Kat jaye kitne din, kitne mahine-saal
Ek nayi umang liye woh aaye har din
Lekin jama hote hain kitne dard har din
Nakaami ne kar diya uska jeena duswar
Phir bhi woh rehta hain chehre pe hansi liye
Sehta hain saare dard
Lungs mein nicotine
Jama Hote hain har roz
Has kar aage badhe woh maut ke dware
Koi usse jaante ho??
Woh aaj bhi khada hain
Lekar kitni ashayein
Kab uska pyar
Usse lega kheench apni or
Ya kho jayega kahin door??
Written By : Subhrajoti Roy