Saturday, November 21, 2009

@@@ LAHOO KE RANG LAL @@@



Dost,aur kitna sahoge dard?
Aur kitna bahaoge khoon?
Aur kitna doge balidaan?

Dost,aur kitna dekhoge ansoo?
Aur kitna Khali hoga maaon ki kok?
Aur kitna Jharega naya jeevan?

Ab ghadi aa gayi mudke khade honeka ,
Ab ghadi hain Kuchh karke dikhaneka,
Yeh ghadi hain jawab deneka.

Doston hum nahin hain akele,
Saath hain hazaaron shaheedon ki khoon,
Kitne dard, kitna aahate, sau sau zakhm.

Dost ghadi aa gayi eksaath ladneka,
Khoon ke pyaase bheriyon ko maar ke bhagane ka,
Ek naya duniya basane ka.

Saathi Mare Aaj khade ho jao,
Ek Saath chalo,
Aaj Ek Saath Gaao 

Sathi Mare, lahoo ka Rang Lal,
Bhor ka Suraj bhi Lal,
Hamare Jhande ka Rang bhi Lal
Lal Jhande ke niche khade ho kar aaj lo Ek Shapath,
Hum log hi Banayenge Aaj Ek naya Bharat.

Written By: Subhrajoti Roy(With the Help of Simanta Roy)