Ye saawan ka mahinaa
Ye kuch mast mausam
Ae jab barish rim jhim rim jhim
Kheel utha hai ye dil
Aur mann keheta hai aa pyaar mujse mil
Laata hai ye sawan kuch yaadon ki jhankar
Aur phir se jag uthaataa hai ye sara sansaar
Aajati hain wo bachpan ki yaadein
Woh miti ki khushboo aur haseen baatein
Aur Phir iss jawaani mein
Hojati hain Haseen baatein aur choti si raatein
Phir se lagti hai dil mein aag
Aur hojati hai tazaa tumhaari yaad
Mere pyaare doston ko fariaad hai
Iss khubsoorat mausam main mast hona hai
Gaatai rehena khushi kai geet
Miley tumse tumara pyaara meet
Ek ek pal barsat ka ho mazedaar
Aur dil main ho sirf pyaar
Written By : Pinky Walia (Pink's)